Sunday, July 1, 2007

Bhagalpur ki Yaadein


Yaad aata hai wo bhagalpur

Wo vikramshila ka sama, tilkamanjhi ki chat,

Wo panchwati ki ice cream, Wah usme thi kuchh baat

Wo rimjim ki mithai, wo shayam ka dosa

Wo Market ki pav bhaji aur ranjit ka samosa.

Wo bike ka safar, wo market road ki hawa,

Wo lajpat Park ki raunak aur hanuman Mandir ka sama.

Wo Zilla School maidan mein cricket aur harne pe jhagra,

Wo colony ki galiyaan aur galiyon mein bhatakna, Sab chhut gaye hai dur

Yaad aata hai wo Bhagalpur.

Wo January ki kadake ki sardi, wo baarishon ke mahiney,

Wo garmi ke din, jab chhutate they paseeney.

Wo dusehre ki dhoom, wo chatth mein shradda,

Wo holi ki masti, wo doston ki toli,

Wo diwali ke patakhe aur janmashtmi ki roli.

Wo shah Market ki galiyan , wo sm,mount carmel ki ladkiyan.

Wo ajanta ki balcony aur wo deeprabha ka sound,

Wo SM college ki kudiyan ,

Wo bina license ki bike riding,aur Town thane pe police ka pakarna,

Bas chhut gaye hai dur

Humko yaad aata hai apna Bhagalpur..........